talluq ke nae andaz se KHake banata hai
ta'alluq ke na.e andāz se ḳhāke banātā hai
koī dīvār chuntā hai vo darvāze banātā hai
guzar jaatī hai apnī had se jab āñgan kī tanhā.ī
lakīreñ khīñch ke kāġhaz pe vo bachche banātā hai
hunar aatā hai us ko vaqt ke tevar badalne kā
magar vo kāġhazī phūloñ ke gul-daste banātā hai
sazā kā mustahiq Thahrā rahe ho kis liye us ko
haqīqat tum samajhte ho vo afsāne banātā hai
pareshānī hamārī chhū rahī hai āsmānoñ ko
kabhī bāteñ banātā thā vo ab qisse banātā hai
natīja apnī fankārī kā hai pesh-e-nazar us ke
magar vo pattharoñ kī zad meñ ā.īne banātā hai
lahū to saaf ho jā.egā saḌkoñ kā magar 'anvar'
use bhī zehn meñ rakkho jo mansūbe banātā hai
ta'alluq ke nae andaz se KHake banata hai
koi diwar chunta hai wo darwaze banata hai
guzar jati hai apni had se jab aangan ki tanhai
lakiren khinch ke kaghaz pe wo bachche banata hai
hunar aata hai us ko waqt ke tewar badalne ka
magar wo kaghazi phulon ke gul-daste banata hai
saza ka mustahiq Thahra rahe ho kis liye us ko
haqiqat tum samajhte ho wo afsane banata hai
pareshani hamari chhu rahi hai aasmanon ko
kabhi baaten banata tha wo ab qisse banata hai
natija apni fankari ka hai pesh-e-nazar us ke
magar wo pattharon ki zad mein aaine banata hai
lahu to saf ho jaega saDkon ka magar 'anwar'
use bhi zehn mein rakkho jo mansube banata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.