talluqat mein thoDa rachaw chahti hai
ta'alluqāt meñ thoḌā rachāv chāhtī hai
ye sard raat mirī jaañ alaav chāhtī hai
hameñ bhī ḳhizr ‘alaihis-salām kī hai talāsh
zarā sā 'aib hamārī bhī naav chāhtī hai
isī varaq pe mirā haath chhoḌnā hai tumheñ
isī varaq pe kahānī ghumāv chāhtī hai
hamārī shab ke añdheroñ ko biich meñ rakh kar
havā charāġh se sach-much banāv chāhtī hai
ye āñdhiyāñ to yahī dekhne nikaltī haiñ
shajar kī shāḳh kahāñ tak jhukāv chāhtī hai
vahī fareb kā ḳhanjar ho dosto lekin
bahādurī mire siine pe ghaav chāhtī hai
mire yaqīn ke qātil kī sādgī tauba
qusūr-vār bhī ho kar bachāv chāhtī hai
tasalliyoñ se koī fā.eda nahīñ hogā
hamārī choT masīhā bharāv chāhtī hai
mire khañDar hue dil meñ bhī shāhzādī sī
mirī ġhazal bhī bahut rakh-rakhāv chāhtī hai
kisī kī yaad meñ ‘misdāq-āzmī' aksar
hamārī aañkh nadī sā bahāv chāhtī hai
ta'alluqat mein thoDa rachaw chahti hai
ye sard raat meri jaan alaw chahti hai
hamein bhi KHizr ‘alaihis-salam ki hai talash
zara sa 'aib hamari bhi naw chahti hai
isi waraq pe mera hath chhoDna hai tumhein
isi waraq pe kahani ghumaw chahti hai
hamari shab ke andheron ko bich mein rakh kar
hawa charagh se sach-much banaw chahti hai
ye aandhiyan to yahi dekhne nikalti hain
shajar ki shaKH kahan tak jhukaw chahti hai
wahi fareb ka KHanjar ho dosto lekin
bahaduri mere sine pe ghaw chahti hai
mere yaqin ke qatil ki sadgi tauba
qusur-war bhi ho kar bachaw chahti hai
tasalliyon se koi faeda nahin hoga
hamari choT masiha bharaw chahti hai
mere khanDar hue dil mein bhi shahzadi si
meri ghazal bhi bahut rakh-rakhaw chahti hai
kisi ki yaad mein ‘misdaq-azmi' aksar
hamari aankh nadi sa bahaw chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.