ta-ba-kai tir pe o tir lagane wale
ta-ba-kai tir pe o tir lagane wale
Khwaja Lateef Ahmad Jareeh
MORE BYKhwaja Lateef Ahmad Jareeh
tā-ba-kai tiir pe o tiir lagāne vaale
dekh mar jaa.eñ na ye naaz uThāne vaale
jaan de dūñgā kahā maiñ ne to vo kahte haiñ
aise dekhe haiñ bahut jaan se jaane vaale
jis tarah apnī basar hotī hai ho jaatī hai
ḳhush raheñ shaad raheñ dil ke jalāne vaale
jazb-e-dil chāhe hai ulfat meñ asar ho sāhib
bin bulā.e hī chale aate haiñ aane vaale
shukr karte haiñ shikāyat kī jagah ham har baar
ham se kam hoñge tire jaur uThāne vaale
dard-o-ġham ranj-o-alam hairat-o-yās-o-hirmāñ
yahī mehmān to haiñ aa ke na jaane vaale
un ke kūche se maiñ guzrā to kahā shoḳhī se
kyoñ idhar aate haiñ sunte bhī ho jaane vaale
jaan dene ko haiñ tayyār 'jarīh'-e-muztar
tum ne dekhe nahīñ kyā naaz uThāne vaale
ta-ba-kai tir pe o tir lagane wale
dekh mar jaen na ye naz uThane wale
jaan de dunga kaha main ne to wo kahte hain
aise dekhe hain bahut jaan se jaane wale
jis tarah apni basar hoti hai ho jati hai
KHush rahen shad rahen dil ke jalane wale
jazb-e-dil chahe hai ulfat mein asar ho sahib
bin bulae hi chale aate hain aane wale
shukr karte hain shikayat ki jagah hum har bar
hum se kam honge tere jaur uThane wale
dard-o-gham ranj-o-alam hairat-o-yas-o-hirman
yahi mehman to hain aa ke na jaane wale
un ke kuche se main guzra to kaha shoKHi se
kyon idhar aate hain sunte bhi ho jaane wale
jaan dene ko hain tayyar 'jarih'-e-muztar
tum ne dekhe nahin kya naz uThane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.