ta-ba-lab aai fughan dil se jo tasir ke sath
tā-ba-lab aa.ī fuġhāñ dil se jo tāsīr ke saath
dushmanī ho ga.ī taqdīr ko tadbīr ke saath
naam taqdīr kā kyoñ lījiye tahqīr ke saath
kuchh adāvat to na thī kātib-e-taqdīr ke saath
maiñ idhar chup huuñ udhar un kā tasavvur ḳhāmosh
ek tasvīrī banā baiThā huuñ tasvīr ke saath
fasl-e-gul aa ga.ī yā ye nahīñ yā maiñ nahīñ ab
nibh sakegī na mirī paañv kī zanjīr ke saath
sar hathelī pe liye aa.e hue haiñ sar-bāz
khelne ke liye qātil tirī shamshīr ke saath
tā-ba-kai rū-e-haqīqat pe majāzī ye naqāb
dil ko bahlā.ūñ maiñ kab tak tirī tasvīr ke saath
apne dāman se vo ḳhud poñchh deñ baḌh kar aañsū
josh-e-ġham dekh leñ 'navvāb' jo tāsīr ke saath
ta-ba-lab aai fughan dil se jo tasir ke sath
dushmani ho gai taqdir ko tadbir ke sath
nam taqdir ka kyon lijiye tahqir ke sath
kuchh adawat to na thi katib-e-taqdir ke sath
main idhar chup hun udhar un ka tasawwur KHamosh
ek taswiri bana baiTha hun taswir ke sath
fasl-e-gul aa gai ya ye nahin ya main nahin ab
nibh sakegi na meri panw ki zanjir ke sath
sar hatheli pe liye aae hue hain sar-baz
khelne ke liye qatil teri shamshir ke sath
ta-ba-kai ru-e-haqiqat pe majazi ye naqab
dil ko bahlaun main kab tak teri taswir ke sath
apne daman se wo KHud ponchh den baDh kar aansu
josh-e-gham dekh len 'nawwab' jo tasir ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.