ta-hadd-e-binai andar bahar hur
tā-hadd-e-bīnā.ī andar bāhar huur
ye kaisā manzar hai manzar-manzar huur
maiñ kaise jannat ke bālā-ḳhāne meñ
kyā koī batlā saktī hai aa kar huur
dil ke sātoñ dariyā mīThe farmā kar
ḳhvāb se vāpas ho jaatī hai aksar huur
tere paañv kī dhuul ke sadqe surḳh gulāb
chāñd sitāre aur behtar se behtar huur
muftī-e-'ishq ne ye fatvā farmāyā hai
us kī jhūTī har tā'rīf pe sattar huur
us ke yahāñ tablīġh to hai taḳhlīq nahīñ
yā'nī us ke sab she'roñ kā mehvar huur
kisī ne kyā tasvīr banā.ī hai 'tāhir'
jism barahna sāhil aur samundar huur
ta-hadd-e-binai andar bahar hur
ye kaisa manzar hai manzar-manzar hur
main kaise jannat ke baala-KHane mein
kya koi batla sakti hai aa kar hur
dil ke saton dariya miThe farma kar
KHwab se wapas ho jati hai aksar hur
tere panw ki dhul ke sadqe surKH gulab
chand sitare aur behtar se behtar hur
mufti-e-'ishq ne ye fatwa farmaya hai
us ki jhuTi har ta'rif pe sattar hur
us ke yahan tabligh to hai taKHliq nahin
ya'ni us ke sab she'ron ka mehwar hur
kisi ne kya taswir banai hai 'tahir'
jism barahna sahil aur samundar hur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.