ta-hadd-e-nazar koi makan hai na makin hai
tā-hadd-e-nazar koī makāñ hai nā makīñ hai
dil vaqt ke maqtūl fasānoñ kī zamīñ hai
aurāq-e-bahārāñ ko phir ik baar ulaT kar
dekho to sahī naam hamārā bhī kahīñ hai
is tarah bhaTaktā huuñ akelā hī akelā
jaise ye mirā shahr mirā shahr nahīñ hai
jalte haiñ charāġhoñ kī tarah ġham ke añdhere
jab se mire hamrāh koī sho.ala-jabīñ hai
har samt zamāne kī vahī dhuul hai lekin
har shakl tire pyaar kī dil-dār-o-hasīñ hai
chhā.ī haiñ jahāñ zulf-e-mo.ambar kī ghaTā.eñ
shāyad mire gītoñ kā nayā des vahīñ hai
yādoñ ke shabistāñ se bulātā nahīñ koī
ḳhvāboñ ke darīche meñ koī sham.a nahīñ hai
tū aur bhī rāhoñ se mirī duur huā hai
tū aur bhī mujh se mire gītoñ se qarīñ hai
sadiyoñ se isī tarh bhaTaktī hai ḳhudā.ī
sadiyoñ se isī tarh ḳhudā arsh-nashīñ hai
hālāt ke baḌhte hue pathrāv meñ 'jāmī'
kuchh aur mujhe azmat-e-hastī kā yaqīñ hai
ta-hadd-e-nazar koi makan hai na makin hai
dil waqt ke maqtul fasanon ki zamin hai
auraq-e-bahaaran ko phir ek bar ulaT kar
dekho to sahi nam hamara bhi kahin hai
is tarah bhaTakta hun akela hi akela
jaise ye mera shahr mera shahr nahin hai
jalte hain charaghon ki tarah gham ke andhere
jab se mere hamrah koi shoala-jabin hai
har samt zamane ki wahi dhul hai lekin
har shakl tere pyar ki dil-dar-o-hasin hai
chhai hain jahan zulf-e-moambar ki ghaTaen
shayad mere giton ka naya des wahin hai
yaadon ke shabistan se bulata nahin koi
KHwabon ke dariche mein koi shama nahin hai
tu aur bhi rahon se meri dur hua hai
tu aur bhi mujh se mere giton se qarin hai
sadiyon se isi tarh bhaTakti hai KHudai
sadiyon se isi tarh KHuda arsh-nashin hai
haalat ke baDhte hue pathraw mein 'jami'
kuchh aur mujhe azmat-e-hasti ka yaqin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.