ta-subh sari raat wo rahti hai ashk-bar
tā-sub.h saarī raat vo rahtī hai ashk-bār
shabnam kisī ke ġham meñ abhī tak hai sogvār
aatā hai rāste meñ nazar jab kabhī-kabhār
dekhe hai ajnabī kī tarah mujh ko bār-bār
lamhe meñ ek rāz-e-mohabbat ko paḌh liyā
ik roz ittifāq se āñkheñ huī thiiñ chaar
mānind-e-qais narġha-e-vahshat meñ ghir gayā
sahrā meñ kyoñ bagūla uḌātā rahā ġhubār
shīrīñ se bhiik lene meñ qāsir hai tīsha-gar
hāthoñ meñ aable haiñ to jholī hai tār-tār
thī rasm-e-ruḳhsatī yā janāza thā dosh par
shānoñ pe kuchh uThā.e hue aadmī the chaar
jab chhoḌ kar chalā gayā vo jān-e-gulsitāñ
ab kyā karegī aa ke chaman meñ mire bahār
'shāhid' hai us ke bas meñ mirī maut aur hayāt
chāhe rihā.ī de de yā le jaa.e sū-e-dār
ta-subh sari raat wo rahti hai ashk-bar
shabnam kisi ke gham mein abhi tak hai sogwar
aata hai raste mein nazar jab kabhi-kabhaar
dekhe hai ajnabi ki tarah mujh ko bar-bar
lamhe mein ek raaz-e-mohabbat ko paDh liya
ek roz ittifaq se aankhen hui thin chaar
manind-e-qais nargha-e-wahshat mein ghir gaya
sahra mein kyon bagula uData raha ghubar
shirin se bhik lene mein qasir hai tisha-gar
hathon mein aable hain to jholi hai tar-tar
thi rasm-e-ruKHsati ya janaza tha dosh par
shanon pe kuchh uThae hue aadmi the chaar
jab chhoD kar chala gaya wo jaan-e-gulsitan
ab kya karegi aa ke chaman mein mere bahaar
'shahid' hai us ke bas mein meri maut aur hayat
chahe rihai de de ya le jae su-e-dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.