ta-umr hum to aise hi gham dekhte rahe
tā-'umr ham to aise hī ġham dekhte rahe
paikar-tarāsh jaise sanam dekhte rahe
jab tak the us ke saath yahī kaifiyat rahī
hasrat-bharī nigāh se ham dekhte rahe
ik shaḳhs aisā ruuh ke andar utar gayā
bichhḌā to jis ke naqsh-e-qadam dekhte rahe
kuchh is tarah se ham ne vafā kā bharam rakhā
sozish se ham ko ahl-e-haram dekhte rahe
thā shahr-bhar meñ jis kī masīhā.ī kā bayān
'āsif' ham us kā dast-e-karam dekhte rahe
ta-'umr hum to aise hi gham dekhte rahe
paikar-tarash jaise sanam dekhte rahe
jab tak the us ke sath yahi kaifiyat rahi
hasrat-bhari nigah se hum dekhte rahe
ek shaKHs aisa ruh ke andar utar gaya
bichhDa to jis ke naqsh-e-qadam dekhte rahe
kuchh is tarah se hum ne wafa ka bharam rakha
sozish se hum ko ahl-e-haram dekhte rahe
tha shahr-bhar mein jis ki masihai ka bayan
'asif' hum us ka dast-e-karam dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.