ta-umr jo nahin tha KHudara nahin bana
tā-umr jo nahīñ thā ḳhudārā nahīñ banā
patthar tarāsh kar bhī maiñ tujh sā nahīñ banā
kashtī se ek aañkh talak maiñ hī maiñ thā bas
parde meñ zindagī rakhī pardā nahīñ banā
maiñ hī banā huuñ paanī maiñ hī aag kā bhañvar
maiñ uljhā apne aap se to kyā nahīñ banā
ḳhud ko kabhī bhī bāñdh ke rakkhā nahīñ kahīñ
taqsīm ho gayā huuñ sahīfa nahīñ banā
maiñ ġham-zada shikasta-dil-o-nā-tavāñ sahī
marzī se khel khelā hai mohra nahīñ banā
gar ḳhud-kushī pe aa gayā to ābshār huuñ
har samt se hasīn huuñ girya nahīñ banā
hosh-o-havās meñ kiyā gar ishq bhī kiyā
sahrā-navardī meñ bhī tamāsha nahīñ banā
bad-qismatī ke taaj tire sar pe ā.eñge
'sayyad' kisī ke haath pe naqshā nahīñ banā
ta-umr jo nahin tha KHudara nahin bana
patthar tarash kar bhi main tujh sa nahin bana
kashti se ek aankh talak main hi main tha bas
parde mein zindagi rakhi parda nahin bana
main hi bana hun pani main hi aag ka bhanwar
main uljha apne aap se to kya nahin bana
KHud ko kabhi bhi bandh ke rakkha nahin kahin
taqsim ho gaya hun sahifa nahin bana
main gham-zada shikasta-dil-o-na-tawan sahi
marzi se khel khela hai mohra nahin bana
gar KHud-kushi pe aa gaya to aabshaar hun
har samt se hasin hun girya nahin bana
hosh-o-hawas mein kiya gar ishq bhi kiya
sahra-nawardi mein bhi tamasha nahin bana
bad-qismati ke taj tere sar pe aaenge
'sayyad' kisi ke hath pe naqsha nahin bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.