ta-umr safar kar ke ye humne kamaya hai
tā-umr safar kar ke ye ham ne kamāyā hai
do qatre haiñ shabnam ke ik dhuup kā TukḌā hai
baḳhshe haiñ muqaddar ne ham ko jo sitāre do
ik mahr kā partav hai ik chāñd kā saayā hai
ulfat ho ki nafrat ho tasvīr ke do ruḳh haiñ
dam toḌtī ulfat ne nafrat ko jagāyā hai
ḳhushiyāñ na sahī ġham hī apnā hī thā kahne ko
ab ye bhī bharam TuuTā sahrā hai na saayā hai
ta-umr safar kar ke ye hum ne kamaya hai
do qatre hain shabnam ke ek dhup ka TukDa hai
baKHshe hain muqaddar ne hum ko jo sitare do
ek mahr ka partaw hai ek chand ka saya hai
ulfat ho ki nafrat ho taswir ke do ruKH hain
dam toDti ulfat ne nafrat ko jagaya hai
KHushiyan na sahi gham hi apna hi tha kahne ko
ab ye bhi bharam TuTa sahra hai na saya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.