tazim aarti ki hai aadar azan ka hai
tā'zīm aartī kī hai aadar azaañ kā hai
duniyā meñ ye kamāl to hindostāñ kā hai
gandī siyāsatoñ ne bahāroñ ko khā liyā
mausam hamāre gaañv meñ ab bhī ḳhizāñ kā hai
nāhaq hī dushmanoñ ko ye ilzām de diyā
gulshan ujāḌne kā jatan bāġhbāñ kā hai
tum zalzaloñ ke ḳhauf se vāqif nahīñ rahe
itnā ġhurūr aaj ye ūñche makāñ kā hai
'unvān jo hamārī kahānī kā thā kabhī
kirdār ab vo aur kisī dāstāñ kā hai
'arshad' nahīñ hai koī gila ġhair se hameñ
ġhaddār hai to koī isī kārvāñ kā hai
ta'zim aarti ki hai aadar azan ka hai
duniya mein ye kamal to hindostan ka hai
gandi siyasaton ne bahaaron ko kha liya
mausam hamare ganw mein ab bhi KHizan ka hai
nahaq hi dushmanon ko ye ilzam de diya
gulshan ujaDne ka jatan baghban ka hai
tum zalzalon ke KHauf se waqif nahin rahe
itna ghurur aaj ye unche makan ka hai
'unwan jo hamari kahani ka tha kabhi
kirdar ab wo aur kisi dastan ka hai
'arshad' nahin hai koi gila ghair se hamein
ghaddar hai to koi isi karwan ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.