ta-zindagi wafa ko nibhaya to kya kiya
tā-zindagī vafā ko nibhāyā to kyā kiyā
ik rog apne jī ko lagāyā to kyā kiyā
ġhaflat meñ jo huā mujhe us kā to ġham nahīñ
ġham hai to ye ki hosh bhī aaya to kyā kiyā
miinā meñ mere hisse kī ik buuñd bhī na thī
maiñ ne bhī apnā jaam baḌhāyā to kyā kiyā
vo shauq-e-dil vo justujū vo josh-e-intizār
aur jab vo mere rū-ba-rū aaya to kyā kiyā
gar lā sakā na bād-e-muḳhālif kī taab tū
ummīd kā charāġh jalāyā to kyā kiyā
lā.eñgī rang 'mohnī' nākāmiyāñ tirī
nairangī-e-zamāñ ne satāyā to kyā kiyā
ta-zindagi wafa ko nibhaya to kya kiya
ek rog apne ji ko lagaya to kya kiya
ghaflat mein jo hua mujhe us ka to gham nahin
gham hai to ye ki hosh bhi aaya to kya kiya
mina mein mere hisse ki ek bund bhi na thi
main ne bhi apna jam baDhaya to kya kiya
wo shauq-e-dil wo justuju wo josh-e-intizar
aur jab wo mere ru-ba-ru aaya to kya kiya
gar la saka na baad-e-muKHalif ki tab tu
ummid ka charagh jalaya to kya kiya
laengi rang 'mohni' nakaamiyan teri
nairangi-e-zaman ne sataya to kya kiya
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 239)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.