tab-e-furqat bhi nahin zabt ka yara bhi nahin
tāb-e-furqat bhī nahīñ zabt kā yaarā bhī nahīñ
use ghabrā ke bhulā deñ ye gavārā bhī nahīñ
ḳhud-farebī se tirā lutf jise kah sakte
apnī qismat meñ vo mub.ham sā ishārā bhī nahīñ
mauj-e-sāhil hī Dubo detī to kyā kahnā thā
vo safīna jise tūfāñ kā sahārā bhī nahīñ
vaa.e taqdīr-e-mohabbat kabhī aate jaate
tū ne dekhā bhī nahīñ ham ne pukārā bhī nahīñ
itne mānūs haiñ ab shaam kī tanhā.ī se
ġham ke māroñ ko tirā qurb gavārā bhī nahīñ
munharif tere taġhāful se sabhī haiñ lekin
terā ġham chhoḌ ke duniyā meñ guzārā bhī nahīñ
kyā huā chashm-e-karam ruuTh ga.ī ai 'māhir'
dil magar gardish-e-ayyām se haarā bhī nahīñ
tab-e-furqat bhi nahin zabt ka yara bhi nahin
use ghabra ke bhula den ye gawara bhi nahin
KHud-farebi se tera lutf jise kah sakte
apni qismat mein wo mubham sa ishaara bhi nahin
mauj-e-sahil hi Dubo deti to kya kahna tha
wo safina jise tufan ka sahaara bhi nahin
wae taqdir-e-mohabbat kabhi aate jate
tu ne dekha bhi nahin hum ne pukara bhi nahin
itne manus hain ab sham ki tanhai se
gham ke maron ko tera qurb gawara bhi nahin
munharif tere taghaful se sabhi hain lekin
tera gham chhoD ke duniya mein guzara bhi nahin
kya hua chashm-e-karam ruTh gai ai 'mahir'
dil magar gardish-e-ayyam se haara bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.