tab-e-nazar ki qaid hai saKHt harim-e-zat mein
tāb-e-nazar kī qaid hai saḳht harīm-e-zāt meñ
dekhūñ kisī ko har ghaḌī bazm-e-tasavvurāt meñ
sahmī huī ajal rahe tere harīm-e-zāt meñ
hosh se kaam le agar kār-gah-hayāt meñ
dars-e-hayāt DhūñD lo apnī hasīñ sifāt meñ
dekho jamāl-e-zindagī zarra-e-kā.enāt meñ
lā.ūñ kahāñ se tāb-e-ġham 'ishq kī kā.enāt meñ
jalve taḌap ke rah ga.e mahfil-e-iltifāt meñ
bazm-e-nashāt dekh kar raqsāñ hai lutf-e-zindagī
ranj-o-alam ḳhajil haiñ kyoñ apne harīm-e-zāt meñ
naaz se kaam lījiye jalvoñ se aap kheliye
ḳhud ko fanā na kījiye dil kī tajalliyāt meñ
lutf-e-sitam na pūchhiye hasrat-e-dil na jāñchiye
zauq-e-junūñ bhī gum huā shauq-e-mushāhidāt meñ
hastī-e-gum-shuda ke saath dard-o-alam kī justujū
jalve ko pech-o-tāb hai husn kī kā.enāt meñ
kahte haiñ jis ko maut sab jāniye us ko zindagī
us meñ chhupī hayāt hai vo hai chhupī hayāt meñ
paikar-e-dard ban ke bhī aayā hai koī bār-bār
mere tasavvurāt meñ mere taḳhayyulāt meñ
un kī nazar kī qaid kyā apnī nazar kī shart kyā
jalva bhī gum rahā magar apnī tajalliyāt meñ
mujh ko 'vafā' se rabt hai tujh ko 'vafā' se ehtirāz
ye hai mirī sarisht meñ vo hai tirī sifāt meñ
tab-e-nazar ki qaid hai saKHt harim-e-zat mein
dekhun kisi ko har ghaDi bazm-e-tasawwuraat mein
sahmi hui ajal rahe tere harim-e-zat mein
hosh se kaam le agar kar-gah-hayat mein
dars-e-hayat DhunD lo apni hasin sifat mein
dekho jamal-e-zindagi zarra-e-kaenat mein
laun kahan se tab-e-gham 'ishq ki kaenat mein
jalwe taDap ke rah gae mahfil-e-iltifat mein
bazm-e-nashat dekh kar raqsan hai lutf-e-zindagi
ranj-o-alam KHajil hain kyon apne harim-e-zat mein
naz se kaam lijiye jalwon se aap kheliye
KHud ko fana na kijiye dil ki tajalliyat mein
lutf-e-sitam na puchhiye hasrat-e-dil na jaanchiye
zauq-e-junun bhi gum hua shauq-e-mushahidat mein
hasti-e-gum-shuda ke sath dard-o-alam ki justuju
jalwe ko pech-o-tab hai husn ki kaenat mein
kahte hain jis ko maut sab jaaniye us ko zindagi
us mein chhupi hayat hai wo hai chhupi hayat mein
paikar-e-dard ban ke bhi aaya hai koi bar-bar
mere tasawwuraat mein mere taKHayyulat mein
un ki nazar ki qaid kya apni nazar ki shart kya
jalwa bhi gum raha magar apni tajalliyat mein
mujh ko 'wafa' se rabt hai tujh ko 'wafa' se ehtiraaz
ye hai meri sarisht mein wo hai teri sifat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.