tairan-e-KHush-gulu sab zamzama-pardaz hain
tā.irān-e-ḳhush-gulū sab zamzama-pardāz haiñ
aap bhī kuchh boliye ham gosh-bar-āvāz haiñ
muddatoñ pahle vatan chhoḌā thā rozī ke liye
har taraf hālāt ab to aur bhī nā-sāz haiñ
laḌ rahā hai ik akelā shaḳhs zulm-o-jabr se
yuuñ to kahne ko bahut se aur bhī jāñbāz haiñ
haq diyā jaatā nahīñ puurā kisī mazdūr ko
aise istehsāl ke lākhoñ yahāñ andāz haiñ
sciencī tahqīq aksar hairatoñ meñ gum huī
māvarā-e-‘aql qudrat ke hazāroñ raaz haiñ
mere baare meñ to vo kuchh jānte tak bhī nahīñ
jin ko ye dā'vā rahā hai vo mire dam-sāz haiñ
aap to mā'sūmiyat meñ baat dil kī kah ga.e
aap kyā jāneñ ki kitne log fitna-bāz haiñ
baa'd meñ karnā zarā zaḳhmī parindoñ kā ḳhayāl
vo parinde kar rihā jo qabil-e-parvāz haiñ
ban ke 'azrā' rah ga.ī huuñ maiñ khulī koī kitāb
she'r mere sab mire jazbāt ke ġhammāz haiñ
tairan-e-KHush-gulu sab zamzama-pardaz hain
aap bhi kuchh boliye hum gosh-bar-awaz hain
muddaton pahle watan chhoDa tha rozi ke liye
har taraf haalat ab to aur bhi na-saz hain
laD raha hai ek akela shaKHs zulm-o-jabr se
yun to kahne ko bahut se aur bhi jaanbaz hain
haq diya jata nahin pura kisi mazdur ko
aise istehsal ke lakhon yahan andaz hain
scienci tahqiq aksar hairaton mein gum hui
mawara-e-‘aql qudrat ke hazaron raaz hain
mere bare mein to wo kuchh jaante tak bhi nahin
jin ko ye da'wa raha hai wo mere dam-saz hain
aap to ma'sumiyat mein baat dil ki kah gae
aap kya jaanen ki kitne log fitna-baz hain
ba'd mein karna zara zaKHmi parindon ka KHayal
wo parinde kar riha jo qabil-e-parwaz hain
ban ke 'azra' rah gai hun main khuli koi kitab
she'r mere sab mere jazbaat ke ghammaz hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.