tajdaron se mera rishta na tha
tājdāroñ se mirā rishta na thā
is liye bhī qad mirā ūñchā na thā
jab nazar ne aa.ina dekhā na thā
mere ruḳh par ek bhī dhabba na thā
us se kyuuñ be-zār the ahl-e-nazar
tamkanat meñ vo agar Duubā na thā
zillateñ vo jāntā kyā ishq kī
ḳhalvatoñ meñ jo kabhī royā na thā
aap to ḳhud paikar-e-kirdār the
aap ko kirdār se girnā na thā
bastiyāñ simTī huī thiiñ jab talak
jañgaloñ ko koī bhī ḳhatra na thā
kyā batāte qā.ede kī baat ham
ghar meñ koī mashvara kartā na thā
kaise jātīñ mere ghar se gardisheñ
gardishoñ se to mirā yārāna thā
tajdaron se mera rishta na tha
is liye bhi qad mera uncha na tha
jab nazar ne aaina dekha na tha
mere ruKH par ek bhi dhabba na tha
us se kyun be-zar the ahl-e-nazar
tamkanat mein wo agar Duba na tha
zillaten wo jaanta kya ishq ki
KHalwaton mein jo kabhi roya na tha
aap to KHud paikar-e-kirdar the
aap ko kirdar se girna na tha
bastiyan simTi hui thin jab talak
jangalon ko koi bhi KHatra na tha
kya batate qaede ki baat hum
ghar mein koi mashwara karta na tha
kaise jatin mere ghar se gardishen
gardishon se to mera yarana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.