tal sochen na samundar sochen
taal socheñ na samundar socheñ
sirf ik mauj-e-munavvar socheñ
shor bāzār se haT kar baiTheñ
apne andar jo hai mahshar socheñ
pas-e-dar nikle hiqārat ki pasand
dastakeñ dī haiñ to kyuuñ kar socheñ
ham bhī sākit haiñ jumūd un par bhī
ḳhud ko but samjheñ ki aazar socheñ
ham kahāñ aur kahāñ chor-qadam
shah koī paa.eñ to khul kar socheñ
ḳhuub hai ye bhī vatīra 'ejāz'
ḳhushk zehnoñ meñ raheñ tar socheñ
tal sochen na samundar sochen
sirf ek mauj-e-munawwar sochen
shor bazar se haT kar baiThen
apne andar jo hai mahshar sochen
pas-e-dar nikle hiqarat ki pasand
dastaken di hain to kyun kar sochen
hum bhi sakit hain jumud un par bhi
KHud ko but samjhen ki aazar sochen
hum kahan aur kahan chor-qadam
shah koi paen to khul kar sochen
KHub hai ye bhi watira 'ejaz'
KHushk zehnon mein rahen tar sochen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.