talab dariya jhil samundar nahin hue
tālāb dariyā jhiil samundar nahīñ hue
us kī nigāh-e-nāz se baḌh kar nahīñ hue
kab se ḳhudā samajh ke jise pūjte rahe
us kī nazar ke saa.e bhī ham par nahīñ hue
sar se na ek shaḳhs kā nashsha utar sakā
so ham nashe meñ dhut kabhī pī kar nahīñ hue
jitne udaas ham tujhe kho kar hue haiñ aaj
itne to ḳhush kabhī tujhe pā kar nahīñ hue
tū jis taraf bhī jaa.e udhar chal paḌeñge dost
ham tere saath soch samajh kar nahīñ hue
duniyā tulī thī ham ko banāne pe devtā
par ham kisī bhī haal meñ patthar nahīñ hue
talab dariya jhil samundar nahin hue
us ki nigah-e-naz se baDh kar nahin hue
kab se KHuda samajh ke jise pujte rahe
us ki nazar ke sae bhi hum par nahin hue
sar se na ek shaKHs ka nashsha utar saka
so hum nashe mein dhut kabhi pi kar nahin hue
jitne udas hum tujhe kho kar hue hain aaj
itne to KHush kabhi tujhe pa kar nahin hue
tu jis taraf bhi jae udhar chal paDenge dost
hum tere sath soch samajh kar nahin hue
duniya tuli thi hum ko banane pe dewta
par hum kisi bhi haal mein patthar nahin hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.