talab se nikal ke samandar mein aa gaya
tālāb se nikal ke samandar meñ aa gayā
is baar sindbād mire ghar meñ aa gayā
be-chehra gardanoñ kī shikāyat fuzūl hai
mā'sūm haath qabza-e-ḳhanjar meñ aa gayā
dekhā hī thā ḳhalā se palaT kar zamīn ko
har qatra-e-lahū mire shahpar meñ aa gayā
dariyā ke laakh haath mujhe rokte rahe
maiñ ne lagām uThā.ī bahattar meñ aa gayā
aisī bulandiyoñ kī tamannā kabhī na thī
zarra huuñ gard-bād ke chakkar meñ aa gayā
sar par gunāhgār ke pheñkā nahīñ abhī
dhabba kahāñ se haath ke patthar meñ aa gayā
is 'ahd meñ jahāñ bhī havā tez-o-tund ho
tūfān sā bayāz-e-'muzaffar' meñ aa gayā
talab se nikal ke samandar mein aa gaya
is bar sindbaad mere ghar mein aa gaya
be-chehra gardanon ki shikayat fuzul hai
ma'sum hath qabza-e-KHanjar mein aa gaya
dekha hi tha KHala se palaT kar zamin ko
har qatra-e-lahu mere shahpar mein aa gaya
dariya ke lakh hath mujhe rokte rahe
main ne lagam uThai bahattar mein aa gaya
aisi bulandiyon ki tamanna kabhi na thi
zarra hun gard-baad ke chakkar mein aa gaya
sar par gunahgar ke phenka nahin abhi
dhabba kahan se hath ke patthar mein aa gaya
is 'ahd mein jahan bhi hawa tez-o-tund ho
tufan sa bayaz-e-'muzaffar' mein aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.