talluq apni jagah tujhse barqarar bhi hai
ta.alluq apnī jagah tujh se barqarār bhī hai
magar ye kyā ki tire qurb se farār bhī hai
kured aur zamīñ mausamoñ ke mutalāshī!
yahīñ kahīñ mirī khoī huī bahār bhī hai
yahī na ho tirī manzil zarā Thahar ai dil
vahī makāñ hai diyoñ kī vahī qatār bhī hai
yūñhī to ruuh nahīñ toḌtī hisār-e-badan
zarūr apnā koī bādaloñ ke paar bhī hai
maiñ pattharoñ se hī sar ko paTaḳh ke lauT aayā
chaTān kahtī rahī mujh meñ shāhkār bhī hai
ye kyā ki rok ke baiThā huā huuñ sail-e-havas
machān par bhī huuñ aur sāmne shikār bhī hai
chhupā huā bhī huuñ jiine kī aarzū le ke
panāh-gāh mirī sher kī kachhār bhī hai
talluq apni jagah tujh se barqarar bhi hai
magar ye kya ki tere qurb se farar bhi hai
kured aur zamin mausamon ke mutalashi!
yahin kahin meri khoi hui bahaar bhi hai
yahi na ho teri manzil zara Thahar ai dil
wahi makan hai diyon ki wahi qatar bhi hai
yunhi to ruh nahin toDti hisar-e-badan
zarur apna koi baadalon ke par bhi hai
main pattharon se hi sar ko paTaKH ke lauT aaya
chaTan kahti rahi mujh mein shahkar bhi hai
ye kya ki rok ke baiTha hua hun sail-e-hawas
machan par bhi hun aur samne shikar bhi hai
chhupa hua bhi hun jine ki aarzu le ke
panah-gah meri sher ki kachhaar bhi hai
- Book : Dastavez (Pg. 75)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.