talluqat ke zaKHmon ka hun sataya hua
ta'alluqāt ke zaḳhmoñ kā huuñ satāyā huā
jo shaam aa.ī mirā saaya bhī parāyā huā
miTegā zehn se kab terī yaad kā afsūñ
hazār sadiyoñ se ye bojh hai uThāyā huā
vo ek shaḳhs abhī dil meñ chhup ke baiThā hai
vo shaḳhs jo kabhī apnā kabhī parāyā huā
har ek lamhe kī aahaT pe dil laraztā hai
zamāne bhar ko ho jaise gale lagāyā huā
na.ī rutoñ kī huā ne 'ajīb sāzish kī
ki mauj-e-ḳhūñ meñ hai har barg-e-gul nahāyā huā
kisī ke saañs kī āvāz tak nahīñ aatī
sukūt-e-marg ne pahra hai vo biThāyā huā
har ik nazar meñ koī ajnabī sī aahaT hai
har ek dil meñ koī ḳhauf hai samāyā huā
vo tīrgī hai ki āñkhoñ meñ ik kiran bhī nahīñ
vo ḳhāmushī hai ki lamhoñ ne zahr khāyā huā
maiñ apne vaqt ke zindāñ kā ek qaidī huuñ
nazar nazar hai fasīloñ ne sar uThāyā huā
gurez-pā hai vo umr-e-azīz kī mānind
hai ek 'umr se apnā jise banāyā huā
na koī yaar na hamdam na koī hamrāhī
tumhārī zulf kā saaya to ḳhair saaya huā
ta'alluqat ke zaKHmon ka hun sataya hua
jo sham aai mera saya bhi paraya hua
miTega zehn se kab teri yaad ka afsun
hazar sadiyon se ye bojh hai uThaya hua
wo ek shaKHs abhi dil mein chhup ke baiTha hai
wo shaKHs jo kabhi apna kabhi paraya hua
har ek lamhe ki aahaT pe dil larazta hai
zamane bhar ko ho jaise gale lagaya hua
nai ruton ki hua ne 'ajib sazish ki
ki mauj-e-KHun mein hai har barg-e-gul nahaya hua
kisi ke sans ki aawaz tak nahin aati
sukut-e-marg ne pahra hai wo biThaya hua
har ek nazar mein koi ajnabi si aahaT hai
har ek dil mein koi KHauf hai samaya hua
wo tirgi hai ki aankhon mein ek kiran bhi nahin
wo KHamushi hai ki lamhon ne zahr khaya hua
main apne waqt ke zindan ka ek qaidi hun
nazar nazar hai fasilon ne sar uThaya hua
gurez-pa hai wo umr-e-aziz ki manind
hai ek 'umr se apna jise banaya hua
na koi yar na hamdam na koi hamrahi
tumhaari zulf ka saya to KHair saya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.