talluqat ki har rasm ko sula dega
ta.alluqāt kī har rasm ko sulā degā
ḳhabar na thī ki vahī aag ko havā degā
kisī bhī ġhair ko fursat kahāñ Thaharne kī
jo zaḳhm degā mujhe merā āshnā degā
isī liye kabhī iz.hār maiñ nahīñ kartā
vo aarzū ko mirī aa.ina dikhā degā
sukūn bikhrā huā dekh kar jo baiTh bhī jā.ūñ
ḳhamosh jhiil meñ patthar koī girā degā
sharar jo hausla-e-dil kā ban gayā sho.ala
gulāb rāhguzar par mirī bichhā degā
jahāñ pe chāhā hai us ne vahīñ Thahar gayā huuñ
kahāñ qiyām hai merā vahī pata degā
ye vaqt aisā hī zālim hai 'nūr' mat pūchho
mujhe ḳhabar thī mirā naqsh tak miTā degā
talluqat ki har rasm ko sula dega
KHabar na thi ki wahi aag ko hawa dega
kisi bhi ghair ko fursat kahan Thaharne ki
jo zaKHm dega mujhe mera aashna dega
isi liye kabhi izhaar main nahin karta
wo aarzu ko meri aaina dikha dega
sukun bikhra hua dekh kar jo baiTh bhi jaun
KHamosh jhil mein patthar koi gira dega
sharar jo hausla-e-dil ka ban gaya shoala
gulab rahguzar par meri bichha dega
jahan pe chaha hai us ne wahin Thahar gaya hun
kahan qiyam hai mera wahi pata dega
ye waqt aisa hi zalim hai 'nur' mat puchho
mujhe KHabar thi mera naqsh tak miTa dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.