talluqat mein yaKH-bastagi paDi rahegi
ta.alluqāt meñ yaḳh-bastagī paḌī rahegī
kahīñ ġhubār kahīñ dhund sī paḌī rahegī
vo aa.egā use dekheñge dekhte raheñge
kitāb aise khulī kī khulī paḌī rahegī
paḌā rahegā koī ḳhvāb ek phuul ke saath
aur is ke saath ik tasvīr bhī paḌī rahegī
kuchh ehtiyāt-e-ta.alluq ab is maqām pe hai
ki dil meñ jo bhī girah paḌ ga.ī paḌī rahegī
ye barf ab ke baras bhī agar nahīñ pighlī
hamāre biich paḌī ḳhāmushī paḌī rahegī
darūn-e-zāt pe uḌtī rahegī gard-e-malāl
diloñ kī Dor yuuñ uljhī huī paḌī rahegī
shikan paḌī hai jabīñ par to noch Daal ise
vagarna der talak ye paḌī paḌī rahegī
hamīñ na hoñge agar kal to husn-e-dād-talab
chamak-damak ye tirī dilkashī paḌī rahegī
chalā bhī jā.egā uTh kar tū mere bistar par
shikan shikan mirī afsurdagī paḌī rahegī
paḌe raheñge tire dar pe ḳhasta-jāñ tere
hamāre baad bhī darmāndagī paḌī rahegī
talluqat mein yaKH-bastagi paDi rahegi
kahin ghubar kahin dhund si paDi rahegi
wo aaega use dekhenge dekhte rahenge
kitab aise khuli ki khuli paDi rahegi
paDa rahega koi KHwab ek phul ke sath
aur is ke sath ek taswir bhi paDi rahegi
kuchh ehtiyat-e-talluq ab is maqam pe hai
ki dil mein jo bhi girah paD gai paDi rahegi
ye barf ab ke baras bhi agar nahin pighli
hamare bich paDi KHamushi paDi rahegi
darun-e-zat pe uDti rahegi gard-e-malal
dilon ki Dor yun uljhi hui paDi rahegi
shikan paDi hai jabin par to noch Dal ise
wagarna der talak ye paDi paDi rahegi
hamin na honge agar kal to husn-e-dad-talab
chamak-damak ye teri dilkashi paDi rahegi
chala bhi jaega uTh kar tu mere bistar par
shikan shikan meri afsurdagi paDi rahegi
paDe rahenge tere dar pe KHasta-jaan tere
hamare baad bhi darmandagi paDi rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.