tamir ka sauda hai na taKHrib ka Dar hai
ta.amīr kā saudā hai na taḳhrīb kā Dar hai
ye dasht to lagtā hai ki majnūñ kā nagar hai
ye mo.ajiza is ijz-e-basārat ne dikhāyā
aflāk nahīñ haiñ ye mirī hadd-e-nazar hai
Duubā huuñ magar sail-e-zamāñ meñ nahīñ Duubā
girdāb hai jazbāt kā sochoñ kā bhañvar hai
ḳhuuñ piine lagā dekhiye insān kā insān
allāh qayāmat hai ye allāh hazar hai
maujūd kī har chiiz hai yuuñ bhī tah-o-bālā
kyā ālam-e-imkān bhī ab zer-o-zabar hai
jaane hī nahīñ dete kahīñ dā.ere mujh ko
maiñ sochtā rahtā huuñ safar hai ki hazar hai
is shiddat-e-zulmat meñ jo zāhir hai ufuq par
umīd-e-sahar hai ki ye tanvīr-e-sahar hai
jo kuchh bhī guzartī hai zamīñ vāloñ pe guzre
vaa.iz kī to bas ālam-e-bālā pe nazar hai
tamir ka sauda hai na taKHrib ka Dar hai
ye dasht to lagta hai ki majnun ka nagar hai
ye moajiza is ijz-e-basarat ne dikhaya
aflak nahin hain ye meri hadd-e-nazar hai
Duba hun magar sail-e-zaman mein nahin Duba
girdab hai jazbaat ka sochon ka bhanwar hai
KHun pine laga dekhiye insan ka insan
allah qayamat hai ye allah hazar hai
maujud ki har chiz hai yun bhi tah-o-baala
kya aalam-e-imkan bhi ab zer-o-zabar hai
jaane hi nahin dete kahin daere mujh ko
main sochta rahta hun safar hai ki hazar hai
is shiddat-e-zulmat mein jo zahir hai ufuq par
umid-e-sahar hai ki ye tanwir-e-sahar hai
jo kuchh bhi guzarti hai zamin walon pe guzre
waiz ki to bas aalam-e-baala pe nazar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.