tan tanz aawaze sun rahe ho ab bolo
ta.an tanz āvāze sun rahe ho ab bolo
bolne ke ḳhamiyāze sun rahe ho ab bolo
baat bas zarā sī thī baat hī to kī tum se
shahr bhar ke āvāze sun rahe ho ab bolo
sar-phirī havāoñ meñ ghar se kyuuñ nikal aa.e
baj rahe haiñ darvāze sun rahe ho ab bolo
jis ke jī meñ jo aa.e mashvare to degā nā
mashvare na.e taaze sun rahe ho ab bolo
dil ke is ta.alluq meñ ab badan kahāñ jaa.e
ḳhvāhishoñ ke āvāze sun rahe ho ab bolo
qufl koī khankā hai saaz haiñ kivāḌoñ ke
baj rahe haiñ darvāze sun rahe ho ab bolo
dil ke ik dhaḌakne kī itnī saarī tāvīleñ
sab ġhalat haiñ andāze sun rahe ho ab bolo
tan tanz aawaze sun rahe ho ab bolo
bolne ke KHamiyaze sun rahe ho ab bolo
baat bas zara si thi baat hi to ki tum se
shahr bhar ke aawaze sun rahe ho ab bolo
sar-phiri hawaon mein ghar se kyun nikal aae
baj rahe hain darwaze sun rahe ho ab bolo
jis ke ji mein jo aae mashware to dega na
mashware nae taze sun rahe ho ab bolo
dil ke is talluq mein ab badan kahan jae
KHwahishon ke aawaze sun rahe ho ab bolo
qufl koi khanka hai saz hain kiwaDon ke
baj rahe hain darwaze sun rahe ho ab bolo
dil ke ek dhaDakne ki itni sari tawilen
sab ghalat hain andaze sun rahe ho ab bolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.