taq-e-nisyan se purana sa diya le aae
tāq-e-nisyāñ se purānā sā diyā le aa.e
qāfile vaqt ke aa.e to ujāle aa.e
ik muammā hī rahī phir bhī haqīqat us kī
chalte chalte qadam-e-fikr meñ chhāle aa.e
us kī galiyoñ meñ hai kuchh aisī kashish aisā jamāl
māh-e-shab-tāb bhī dastār sañbhāle aa.e
tujh ko dekhā hī nahīñ mauj-e-bahārāñ ne kabhī
phir kahāñ se vo tirī tarz-e-adā le aa.e
ḳhema-e-jāñ kī tanābeñ haiñ bahut bosīda
koī tūfān na is samt havā le aa.e
nok-e-neza ke havāle to kiyā sar ham ne
kū-e-qātil se magar haath bachā le aa.e
'nūr' vo dasht-e-masāfat bhī ajab thā kal raat
justujū meñ mirī ḳhvāboñ ke risāle aa.e
taq-e-nisyan se purana sa diya le aae
qafile waqt ke aae to ujale aae
ek muamma hi rahi phir bhi haqiqat us ki
chalte chalte qadam-e-fikr mein chhaale aae
us ki galiyon mein hai kuchh aisi kashish aisa jamal
mah-e-shab-tab bhi dastar sanbhaale aae
tujh ko dekha hi nahin mauj-e-bahaaran ne kabhi
phir kahan se wo teri tarz-e-ada le aae
KHema-e-jaan ki tanaben hain bahut bosida
koi tufan na is samt hawa le aae
nok-e-neza ke hawale to kiya sar hum ne
ku-e-qatil se magar hath bacha le aae
'nur' wo dasht-e-masafat bhi ajab tha kal raat
justuju mein meri KHwabon ke risale aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.