taqat-e-zabt-e-fughan itni baDha sakte hain hum
taqat-e-zabt-e-fughan itni baDha sakte hain hum
Qazi Syed Mushtaq Naqvi
MORE BYQazi Syed Mushtaq Naqvi
tāqat-e-zabt-e-fuġhāñ itnī baḌhā sakte haiñ ham
intihā-e-yās meñ bhī muskurā sakte haiñ ham
azmat-e-shān-e-mohabbat bhī dikhā sakte haiñ ham
hañste hañste jaan par bhī khel jā sakte haiñ ham
dhajjiyāñ zulm-o-sitam kī bhī uḌā sakte haiñ ham
sabr-o-istiqlāl ke dariyā bahā sakte haiñ ham
bāġhbāñ kyoñ naaz hai apnī bahāroñ par tujhe
āshiyāne meñ bahāreñ apnī lā sakte haiñ ham
sach to ye hai ki ḳhudī meñ zindagī kā raaz hai
apnī qismat apne hāthoñ se banā sakte haiñ ham
jazba-e-josh-e-junūn-e-shauq honā chāhiye
phir surāġh-e-manzil-e-hastī bhī pā sakte haiñ ham
ham ne paa.ī hai mohabbat meñ mujassam zindagī
muskurā kar maut se āñkheñ milā sakte haiñ ham
vāqif-e-ādāb-e-asrār-e-mohabbat hai ye dil
vo to kyā 'mushtāq' duniyā ko jhukā sakte haiñ ham
taqat-e-zabt-e-fughan itni baDha sakte hain hum
intiha-e-yas mein bhi muskura sakte hain hum
azmat-e-shan-e-mohabbat bhi dikha sakte hain hum
hanste hanste jaan par bhi khel ja sakte hain hum
dhajjiyan zulm-o-sitam ki bhi uDa sakte hain hum
sabr-o-istiqlal ke dariya baha sakte hain hum
baghban kyon naz hai apni bahaaron par tujhe
aashiyane mein bahaaren apni la sakte hain hum
sach to ye hai ki KHudi mein zindagi ka raaz hai
apni qismat apne hathon se bana sakte hain hum
jazba-e-josh-e-junun-e-shauq hona chahiye
phir suragh-e-manzil-e-hasti bhi pa sakte hain hum
hum ne pai hai mohabbat mein mujassam zindagi
muskura kar maut se aankhen mila sakte hain hum
waqif-e-adab-e-asrar-e-mohabbat hai ye dil
wo to kya 'mushtaq' duniya ko jhuka sakte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.