tar-e-nigah-e-lutf se pahle rafu karen
tār-e-nigāh-e-lutf se pahle rafū kareñ
phir mere zaḳhm-e-dil kī davā chāra-jū kareñ
kab tak talāsh-e-yār meñ paanī lahū kareñ
milnā hai jab muhāl to kyā justujū kareñ
phir un se arz-e-hāl kī kuchh aarzū kareñ
pahle dil-o-jigar ko jab apne lahū kareñ
jis ne kabhī kiyā na ho ka.aba kī samt ruḳh
marne pe kyā zarūr use qibla-rū kareñ
pahle vo dil meñ soch leñ anjām kyā huā
luknat pe phir kalīm kī kuchh guftugū kareñ
aise hī be-ḳhulūs ke hai dostī harām
jaise ki ham namāz adā be-vuzū kareñ
rindoñ ke saath piinā pilānā hai nā-guzīr
phir kyuuñ na ham bhī bai.at-e-dast-e-subū kareñ
donoñ ke donoñ ḳhanjar-e-ġham se haiñ chaak chaak
dil ko rafū kareñ ki jigar ko rafū kareñ
'sho.ala' na phir kisī se kisī ko gila rahe
ham ek dūsre kī agar aabrū kareñ
tar-e-nigah-e-lutf se pahle rafu karen
phir mere zaKHm-e-dil ki dawa chaara-ju karen
kab tak talash-e-yar mein pani lahu karen
milna hai jab muhaal to kya justuju karen
phir un se arz-e-haal ki kuchh aarzu karen
pahle dil-o-jigar ko jab apne lahu karen
jis ne kabhi kiya na ho kaba ki samt ruKH
marne pe kya zarur use qibla-ru karen
pahle wo dil mein soch len anjam kya hua
luknat pe phir kalim ki kuchh guftugu karen
aise hi be-KHulus ke hai dosti haram
jaise ki hum namaz ada be-wuzu karen
rindon ke sath pina pilana hai na-guzir
phir kyun na hum bhi baiat-e-dast-e-subu karen
donon ke donon KHanjar-e-gham se hain chaak chaak
dil ko rafu karen ki jigar ko rafu karen
'shoala' na phir kisi se kisi ko gila rahe
hum ek dusre ki agar aabru karen
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 82)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.