tara ojhal ho jata hai
taarā ojhal ho jaatā hai
ḳhvāb mukammal ho jaatā hai
laḌkī aatī hai sāhil par
dariyā pāgal ho jaatā hai
rang badan meñ aa jaate haiñ
chehra jal-thal ho jaatā hai
aksar to aadhe hī din meñ
baaġh muqaffal ho jaatā hai
das rātoñ ke chille meñ hī
chāñd mukammal ho jaatā hai
chaudhvīñ shab tak aate aate
laḌkā pāgal ho jaatā hai
niiñd agar haḌtāl kare to
ḳhvāb mo.attal ho jaatā hai
khiḌkī kā vo bhārī parda
hijr meñ malmal ho jaatā hai
ho jaatā hai ishq hameñ bhī
aur musalsal ho jaatā hai
tara ojhal ho jata hai
KHwab mukammal ho jata hai
laDki aati hai sahil par
dariya pagal ho jata hai
rang badan mein aa jate hain
chehra jal-thal ho jata hai
aksar to aadhe hi din mein
bagh muqaffal ho jata hai
das raaton ke chille mein hi
chand mukammal ho jata hai
chaudhwin shab tak aate aate
laDka pagal ho jata hai
nind agar haDtal kare to
KHwab moattal ho jata hai
khiDki ka wo bhaari parda
hijr mein malmal ho jata hai
ho jata hai ishq hamein bhi
aur musalsal ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.