taraj KHwahishon ka mudawa na ho saka
tārāj ḳhvāhishoñ kā mudāvā na ho sakā
koī hamāre vāste iisā na ho sakā
itnī shadīd dhuup thī mujh pe ki umr-bhar
abr-o-daraḳht se kabhī saaya na ho sakā
nīñdoñ meñ chhoḌ kar hameñ aage nikal gayā
ham se us ek ḳhvāb kā pīchhā na ho sakā
guzre phir ek baar to donoñ ke darmiyāñ
vo vāqi.a jo tuur pe puurā na ho sakā
dahkān-e-ġham ne ḳhuun se sīñchī zamīn-e-dil
lekin ye dasht dasht thā sabza na ho sakā
taraj KHwahishon ka mudawa na ho saka
koi hamare waste isa na ho saka
itni shadid dhup thi mujh pe ki umr-bhar
abr-o-daraKHt se kabhi saya na ho saka
nindon mein chhoD kar hamein aage nikal gaya
hum se us ek KHwab ka pichha na ho saka
guzre phir ek bar to donon ke darmiyan
wo waqia jo tur pe pura na ho saka
dahkan-e-gham ne KHun se sinchi zamin-e-dil
lekin ye dasht dasht tha sabza na ho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.