tare baraati chanda ko pariyon ki Doli kar de
taare bārātī chanda ko pariyoñ kī Dolī kar de
mere maulā merī duniyā phir bachpan jaisī kar de
niiñd agar mahñgī hai to halkī sī jhapkī hī de Daal
sahrā āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kī thoḌī hariyālī kar de
chal bastī ke har ghar meñ chīḳhoñ kī sauġhāteñ bāñTeñ
is se pahle ye sannāTā kānoñ ko zaḳhmī kar de
tez havā meñ uḌte patte ko bhī manzil mil jaa.e
maulā is ko ik bachche ke hāthoñ kī phirkī kar de
vo to phir bhī narm-o-nāzuk dil rakhtā hai siine meñ
yaar mohabbat vo shai hai jo patthar ko paanī kar de
tare baraati chanda ko pariyon ki Doli kar de
mere maula meri duniya phir bachpan jaisi kar de
nind agar mahngi hai to halki si jhapki hi de Dal
sahra aankhon mein KHwabon ki thoDi hariyali kar de
chal basti ke har ghar mein chiKHon ki saughaten banTen
is se pahle ye sannaTa kanon ko zaKHmi kar de
tez hawa mein uDte patte ko bhi manzil mil jae
maula is ko ek bachche ke hathon ki phirki kar de
wo to phir bhi narm-o-nazuk dil rakhta hai sine mein
yar mohabbat wo shai hai jo patthar ko pani kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.