tare ginne ke zamane ab kahan
taare ginñe ke zamāne ab kahāñ
āshiqī ke vo tarāne ab kahāñ
kaun martā hai kisī ke vāste
lailā majnūñ ke fasāne ab kahāñ
vo na dariyā aur na gahrī chāhateñ
sohnī aur maahī dīvāne ab kahāñ
kaun chīregā pahāḌoñ ke jigar
taisha-e-farhād jaane ab kahāñ
āñkhoñ āñkhoñ meñ jo hote the kabhī
hiir rāñjhe ke nishāne ab kahāñ
sāmne aa jaa.e yūsuf aur bas
vo zuleḳhā ke bahāne ab kahāñ
jaao jaao āshiq-e-'ḳhānam' ki vo
bhole-pan ke sab zamāne ab kahāñ
tare ginne ke zamane ab kahan
aashiqi ke wo tarane ab kahan
kaun marta hai kisi ke waste
laila majnun ke fasane ab kahan
wo na dariya aur na gahri chahaten
sohni aur mahi diwane ab kahan
kaun chirega pahaDon ke jigar
taisha-e-farhad jaane ab kahan
aankhon aankhon mein jo hote the kabhi
hir ranjhe ke nishane ab kahan
samne aa jae yusuf aur bas
wo zuleKHa ke bahane ab kahan
jao jao aashiq-e-'KHanam' ki wo
bhole-pan ke sab zamane ab kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.