tare hamari KHak mein bikhre paDe rahe
taare hamārī ḳhaak meñ bikhre paḌe rahe
ye kyā ki tere nain falak se laḌe rahe
ham the safar-nasīb so manzil se jā mile
jo sañg-e-mīl the vo zamīñ meñ gaḌe rahe
logoñ ne iiñT iiñT par qabza jamā liyā
ham dam-ba-ḳhud makān se bāhar khaḌe rahe
ham ko to jhūlnā hī thā insāf ke liye
ye kiil kyuuñ salīb meñ nāhaq jaḌe rahe
rā'nā.ī apnī chhīntā hai mausamoñ se ab
maazī meñ jis daraḳht ke patte jhaḌe rahe
jin kī jaḌeñ zamīn ke andar thiiñ duur tak
vo peḌ āñkhiyoñ ke muqābil aḌe rahe
tare hamari KHak mein bikhre paDe rahe
ye kya ki tere nain falak se laDe rahe
hum the safar-nasib so manzil se ja mile
jo sang-e-mil the wo zamin mein gaDe rahe
logon ne inT inT par qabza jama liya
hum dam-ba-KHud makan se bahar khaDe rahe
hum ko to jhulna hi tha insaf ke liye
ye kil kyun salib mein nahaq jaDe rahe
ra'nai apni chhinta hai mausamon se ab
mazi mein jis daraKHt ke patte jhaDe rahe
jin ki jaDen zamin ke andar thin dur tak
wo peD aankhiyon ke muqabil aDe rahe
- Book : Muasir (Pg. 233)
- Author : Habibullah
- Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.