tare ki sans sans mein the ta-sahar jale
taare ki saañs saañs meñ the tā-sahar jale
hāthoñ meñ phuul zer-e-samundar guhar jale
shāyad koī sharar thā ḳhas-e-jism meñ nihāñ
apnī hī intihā meñ hamīñ be-ḳhabar jale
vo mast huuñ ki ḳhvāb-o-ziyāñ kī ḳhabar nahīñ
vo garm-pā ki dasht meñ samt-o-safar jale
vo lau huuñ jo añdhere ke siine kā daaġh hai
vo dam ki ghoñsle meñ parinde ke par jale
vo tund huuñ ki yāroñ meñ talḳhī mujhī se hai
vo soḳhta huuñ ghar meñ rahūñ maiñ to ghar jale
vo ashk huuñ ki jis kī jagah aañkh meñ nahīñ
tapkūñ agar to zer-e-samundar guhar jale
yuuñ kal tire ḳhayāl ne gaDmaD kiyā hameñ
bistar meñ chāñd aur badan baam par jale
tare ki sans sans mein the ta-sahar jale
hathon mein phul zer-e-samundar guhar jale
shayad koi sharar tha KHas-e-jism mein nihan
apni hi intiha mein hamin be-KHabar jale
wo mast hun ki KHwab-o-ziyan ki KHabar nahin
wo garm-pa ki dasht mein samt-o-safar jale
wo lau hun jo andhere ke sine ka dagh hai
wo dam ki ghonsle mein parinde ke par jale
wo tund hun ki yaron mein talKHi mujhi se hai
wo soKHta hun ghar mein rahun main to ghar jale
wo ashk hun ki jis ki jagah aankh mein nahin
tapkun agar to zer-e-samundar guhar jale
yun kal tere KHayal ne gaDmaD kiya hamein
bistar mein chand aur badan baam par jale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.