tariKH bahs rasm-e-gawahi sameT le
tārīḳh bahs rasm-e-gavāhī sameT le
yā phir tū apnī tīra-nigāhī sameT le
dhartī pe ab sitāroñ kī fasleñ haiñ vajd meñ
ai āsmān apnī siyāhī sameT le
ḳhalq-e-ḳhudā kī aa.heñ sharar-bār ho ga.iiñ
behtar yahī hai ḳhema-e-shāhī sameT le
ghar hai ḳhudā kā soch le ai abraha-shi'ār
aisā na ho ki tujh ko ḳhudā hī sameT le
kyā hogā be-lagām payāde tirā agar
‘ālam-panāh pusht-panāhī sameT le
jo naqsh-e-pā haiñ raah meñ manzil-shanās ke
āñkhoñ meñ un ke 'aks ai raahī sameT le
ā.īna-zād 'aks-e-mujassam na ho sake
‘vāhid-nazīr' chashm-barāhī sameT le
tariKH bahs rasm-e-gawahi sameT le
ya phir tu apni tira-nigahi sameT le
dharti pe ab sitaron ki faslen hain wajd mein
ai aasman apni siyahi sameT le
KHalq-e-KHuda ki aahen sharar-bar ho gain
behtar yahi hai KHema-e-shahi sameT le
ghar hai KHuda ka soch le ai abraha-shi'ar
aisa na ho ki tujh ko KHuda hi sameT le
kya hoga be-lagam payaade tera agar
‘alam-panah pusht-panahi sameT le
jo naqsh-e-pa hain rah mein manzil-shanas ke
aankhon mein un ke 'aks ai rahi sameT le
aaina-zad 'aks-e-mujassam na ho sake
‘wahid-nazir' chashm-barahi sameT le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.