tarikiyon ke baad numud-e-sahar bhi ho
tarikiyon ke baad numud-e-sahar bhi ho
Begum Sultana Zakir Ada
MORE BYBegum Sultana Zakir Ada
tārīkiyoñ ke baad numūd-e-sahar bhī ho
ik sub.h-e-bā-jamāl ḳhudāyā idhar bhī ho
hoñ chār-sū bahāroñ ke mausam saje hue
girvīda koī phūloñ kī chashm-e-bashar bhī ho
ġhunchoñ kī būd-o-bāsh se rahtā ho bā-ḳhabar
duzdīda-e-nazar bhī ho aur dīda-var bhī ho
jo rok de ḳhizāñ ke thapeḌe chaman se duur
sāya-fagan guloñ pe ghanerā shajar bhī ho
bahte samundaroñ kī satah par na jaa.e vo
dekhe jo zer-e-āb bhī chāhe bhañvar bhī ho
haiñ zer-e-āb saare ḳhazīne chhupe hue
dekhe jo zer-e-ḳhāk kuchh aisī nazar bhī ho
vo tez-o-tund dhāroñ meñ bahne ke bāvajūd
is bahr-e-be-karāñ kī vo rakhtā ḳhabar bhī ho
siipī se motī chun ke dikhā.e 'adā' koī
jauhar-shanās ho koī ahl-e-hunar bhī ho
tarikiyon ke baad numud-e-sahar bhi ho
ek subh-e-ba-jamal KHudaya idhar bhi ho
hon chaar-su bahaaron ke mausam saje hue
girwida koi phulon ki chashm-e-bashar bhi ho
ghunchon ki bud-o-bash se rahta ho ba-KHabar
duzdida-e-nazar bhi ho aur dida-war bhi ho
jo rok de KHizan ke thapeDe chaman se dur
saya-fagan gulon pe ghanera shajar bhi ho
bahte samundaron ki satah par na jae wo
dekhe jo zer-e-ab bhi chahe bhanwar bhi ho
hain zer-e-ab sare KHazine chhupe hue
dekhe jo zer-e-KHak kuchh aisi nazar bhi ho
wo tez-o-tund dhaaron mein bahne ke bawajud
is bahr-e-be-karan ki wo rakhta KHabar bhi ho
sipi se moti chun ke dikhae 'ada' koi
jauhar-shanas ho koi ahl-e-hunar bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.