tarikiyon mein apni ziya chhoD jaunga
tārīkiyoñ meñ apnī ziyā chhoḌ jā.ūñgā
guzrūñgā maiñ to naqsh-e-vafā chhoḌ jā.ūñgā
duniyā ke log sunte raheñge tamām 'umr
lafzoñ meñ apne dil kī sadā chhoḌ jā.ūñgā
apne lahū se phuul khilā kar hayāt ke
har samt ḳhushbuoñ kī fazā chhoḌ jā.ūñgā
rakheñgī yaad husn kī ra.anā.iyāñ mujhe
vo gulsitāñ meñ rañg nayā chhoḌ jā.ūñgā
har ik qadam banegī jo tahzīb kī misāl
vo zindagī kī tarz-e-adā chhoḌ jā.ūñgā
sīñchegā phir chaman meñ use mere baa'd kaun
jis peḌ ko yahāñ maiñ harā chhoḌ jā.ūñgā
ye sochtā huuñ jab kabhī hogā mirā safar
kyā kyā maiñ le ke jā.ūñgā kyā chhoḌ jā.ūñgā
tarke meñ kuchh bhī chhoḌūñ na chhoḌūñ yahāñ magar
bachchoñ ke haq meñ apnī du'ā chhoḌ jā.ūñgā
pahuñchegā faiz jis se zamāne ko ai 'guhar'
ilm-o-hunar kī maiñ vo ghaTā chhoḌ jā.ūñgā
tarikiyon mein apni ziya chhoD jaunga
guzrunga main to naqsh-e-wafa chhoD jaunga
duniya ke log sunte rahenge tamam 'umr
lafzon mein apne dil ki sada chhoD jaunga
apne lahu se phul khila kar hayat ke
har samt KHushbuon ki faza chhoD jaunga
rakhengi yaad husn ki ranaiyan mujhe
wo gulsitan mein rang naya chhoD jaunga
har ek qadam banegi jo tahzib ki misal
wo zindagi ki tarz-e-ada chhoD jaunga
sinchega phir chaman mein use mere ba'd kaun
jis peD ko yahan main hara chhoD jaunga
ye sochta hun jab kabhi hoga mera safar
kya kya main le ke jaunga kya chhoD jaunga
tarke mein kuchh bhi chhoDun na chhoDun yahan magar
bachchon ke haq mein apni du'a chhoD jaunga
pahunchega faiz jis se zamane ko ai 'guhar'
ilm-o-hunar ki main wo ghaTa chhoD jaunga
- Book : Zarf-e-Gohar (Pg. 36)
- Author : Sayed-ul_Hassan Khan
- Publication : Sayed-ul-Hassan Khan (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.