tarikiyon mein ek diya mangte hain hum
tārīkiyoñ meñ ek diyā māñgte haiñ ham
apne lahū kā ḳhūn-bahā māñgte haiñ ham
kuchh beTiyoñ ke baap nahīñ mil rahe yahāñ
maaoñ ke lāDloñ kā patā māñgte haiñ ham
ham pūchhte haiñ masḳh-shuda mayyatoñ ke naam
gum-karda sāthiyoñ kī ḳhatā māñgte haiñ ham
tum shauq se barahna phiro hākimān-e-vaqt
apne liye to band-e-qabā māñgte haiñ ham
ham māñgte haiñ jism chhupāne ko ik kafan
sar Dhāñpne ko ek ridā māñgte haiñ ham
tū mudda'ī hai terī samā'at chalī ga.ī
chhīnī ga.ī hamārī sadā māñgte haiñ ham
in zulmatoñ ke habs meñ ghuTne lagā hai dam
thoḌī fasīl-e-jāñ meñ havā māñgte haiñ ham
kyā tum ne lashkaroñ ke havādis nahīñ sune
phir ḳhāmushī se ek du'ā māñgte haiñ ham
phir aa liyā hai lashkar-e-fir'aun ne hameñ
'hammād' aaj phir se 'asā māñgte haiñ ham
tarikiyon mein ek diya mangte hain hum
apne lahu ka KHun-baha mangte hain hum
kuchh beTiyon ke bap nahin mil rahe yahan
maon ke laDlon ka pata mangte hain hum
hum puchhte hain masKH-shuda mayyaton ke nam
gum-karda sathiyon ki KHata mangte hain hum
tum shauq se barahna phiro hakiman-e-waqt
apne liye to band-e-qaba mangte hain hum
hum mangte hain jism chhupane ko ek kafan
sar Dhanpne ko ek rida mangte hain hum
tu mudda'i hai teri sama'at chali gai
chhini gai hamari sada mangte hain hum
in zulmaton ke habs mein ghuTne laga hai dam
thoDi fasil-e-jaan mein hawa mangte hain hum
kya tum ne lashkaron ke hawadis nahin sune
phir KHamushi se ek du'a mangte hain hum
phir aa liya hai lashkar-e-fir'aun ne hamein
'hammad' aaj phir se 'asa mangte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.