tarikiyon mein nur ka ya-rab guzar na ho
tārīkiyoñ meñ nuur kā yā-rab guzar na ho
merī vo shaam ho jo rahīn-e-sahar na ho
maiñ sirf intizār-e-rah-e-yār hī rahūñ
merī shab-e-firāq kabhī muḳhtasar na ho
be-rah-ravī kī manzil-e-āvārgāñ meñ bhī
thak jā.ūñ to talāsh-e-rah-o-rāhbar na ho
gum-karda-rāh ho ke bhaTaktā hī maiñ rahūñ
ġhurbat kī shaam meñ bhī rafīq-e-safar na ho
shajar-e-hayāt bāġh-e-jahāñ meñ hamārī tarh
qat’a-o-burīd dahr se yuuñ be-samar na ho
kyoñ vaqf-e-sad-alam na hoñ anfās-e-musta.ār
kyoñ jāñ-setāñ mire liye marg-e-pisar na ho
begāna-vār ho ke maiñ apne vajūd se
pahuñchūñ vahīñ jahāñ mujhe apnī ḳhabar na ho
mehmāñ huuñ chand din kā go ai shām-e-be-kasī
mashq-e-sitam meñ tere magar kuchh kasar na ho
tū aa harīm-e-nāz se ai husn-e-sho.ala-pāsh
mujh ko vo aañkh de jise tāb-e-nazar na ho
logoñ kī har duā to ho maqbūl-e-bārgāh
merī ik āh-e-nīm-shabī meñ asar na ho
kahte haiñ ik jahāñ jise mardān-e-ḳhud-fareb
hangāma-āfrīnī-e-shām-o-sahar na ho
jis ne kiyā hai darham-o-barham nizām-e-dahr
yā-rab kisī kī vo nigah-e-fitna-gar na ho
jāñ-kandanī meñ bhī na ho koī sharīk-e-hāl
mar jā.ūñ bhī to paas koī nauhagar na ho
mayyat ke saath saath farishtoñ kā ho hujūm
insāñ koī sharīk-e-janāza magar na ho
aa.e na ba.ad-e-dafn kahīñ sub.h-e-bāz-purs
shām-e-murād merī kahīñ muḳhtasar na ho
kyūñkar ho kāmyāb jahān-e-ḳharāb meñ
tab.a-e-hazīn-o-zār meñ himmat agar na ho
jannat kī aarzū meñ ye taa.at abas hai shaiḳh
shāyad kisī ke fazl pe ye munhasir na ho
har zarra rashk-e-tūr nazar aa rahā hai jo
hotā hai ye gumāñ ki fareb-e-nazar na ho
ho nūr-e-imbisāt se har shaḳhs bahra-var
yā-rab jahāñ meñ koī bhī zulmat-basar na ho
har naqsh-e-pā ko dekh ke jhuk jaatī hai jabīñ
ye jaan kar kahīñ vo tirī rahguzar na ho
parvāz-e-ja.afrī ho atā merī na.ash ko
merā janāza uTh ke kahīñ bār-e-sar na ho
jin ko hai vāsta mirī jān-e-azīz se
barbādiyoñ kī mere unheñ kuchh ḳhabar na ho
āsāñ ho rāh-e-zīst to gir-paḌ ke ek din
dushvār to yahī hai ki dushvār-tar na ho
mabzūl us ke rahm-o-karam ko jo kar sake
'mehdī' vo aah merī ho jo be-asar na ho
tarikiyon mein nur ka ya-rab guzar na ho
meri wo sham ho jo rahin-e-sahar na ho
main sirf intizar-e-rah-e-yar hi rahun
meri shab-e-firaq kabhi muKHtasar na ho
be-rah-rawi ki manzil-e-awargan mein bhi
thak jaun to talash-e-rah-o-rahbar na ho
gum-karda-rah ho ke bhaTakta hi main rahun
ghurbat ki sham mein bhi rafiq-e-safar na ho
shajar-e-hayat bagh-e-jahan mein hamari tarh
qat’a-o-burid dahr se yun be-samar na ho
kyon waqf-e-sad-alam na hon anfas-e-mustaar
kyon jaan-setan mere liye marg-e-pisar na ho
begana-war ho ke main apne wajud se
pahunchun wahin jahan mujhe apni KHabar na ho
mehman hun chand din ka go ai sham-e-be-kasi
mashq-e-sitam mein tere magar kuchh kasar na ho
tu aa harim-e-naz se ai husn-e-shoala-pash
mujh ko wo aankh de jise tab-e-nazar na ho
logon ki har dua to ho maqbul-e-bargah
meri ek aah-e-nim-shabi mein asar na ho
kahte hain ek jahan jise mardan-e-KHud-fareb
hangama-afrini-e-sham-o-sahar na ho
jis ne kiya hai darham-o-barham nizam-e-dahr
ya-rab kisi ki wo nigah-e-fitna-gar na ho
jaan-kandani mein bhi na ho koi sharik-e-haal
mar jaun bhi to pas koi nauhagar na ho
mayyat ke sath sath farishton ka ho hujum
insan koi sharik-e-janaza magar na ho
aae na baad-e-dafn kahin subh-e-baz-purs
sham-e-murad meri kahin muKHtasar na ho
kyunkar ho kaamyab jahan-e-KHarab mein
taba-e-hazin-o-zar mein himmat agar na ho
jannat ki aarzu mein ye taat abas hai shaiKH
shayad kisi ke fazl pe ye munhasir na ho
har zarra rashk-e-tur nazar aa raha hai jo
hota hai ye guman ki fareb-e-nazar na ho
ho nur-e-imbisat se har shaKHs bahra-war
ya-rab jahan mein koi bhi zulmat-basar na ho
har naqsh-e-pa ko dekh ke jhuk jati hai jabin
ye jaan kar kahin wo teri rahguzar na ho
parwaz-e-jafri ho ata meri nash ko
mera janaza uTh ke kahin bar-e-sar na ho
jin ko hai wasta meri jaan-e-aziz se
barbaadiyon ki mere unhen kuchh KHabar na ho
aasan ho rah-e-zist to gir-paD ke ek din
dushwar to yahi hai ki dushwar-tar na ho
mabzul us ke rahm-o-karam ko jo kar sake
'mehdi' wo aah meri ho jo be-asar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.