tarikiyon mein nur sa phaila rahe hain hum
tārīkiyoñ meñ nuur sā phailā rahe haiñ ham
zarroñ ko kā.enāt ke chamkā rahe haiñ ham
samjho to āsmāñ kī bulandī bhī kuchh nahīñ
socho to kis kā naqsh-e-kaf-e-pā rahe haiñ ham
aañsū gire ki ġham kī amānat chhalak ga.ī
iz.hār-e-ġham ke saath hī pachhtā rahe haiñ ham
ai kaash zindagī ko mayassar ho lutf-e-dīd
ab tak asīr-e-va.ada-e-fardā rahe haiñ ham
ai ahd-e-nau ye silsila-e-jaur tā-kujā
kab se hayāt-e-shauq ko bahlā rahe haiñ ham
ham se na vo mile kabhī un se na ham mile
yuuñ misl-e-rang-o-bū sadā yakjā rahe haiñ ham
zīnat luġhat kī harf-e-haqīqat hai ai 'zamīr'
bātil kā har fareb-e-hasīñ khā rahe haiñ ham
tarikiyon mein nur sa phaila rahe hain hum
zarron ko kaenat ke chamka rahe hain hum
samjho to aasman ki bulandi bhi kuchh nahin
socho to kis ka naqsh-e-kaf-e-pa rahe hain hum
aansu gire ki gham ki amanat chhalak gai
izhaar-e-gham ke sath hi pachhta rahe hain hum
ai kash zindagi ko mayassar ho lutf-e-did
ab tak asir-e-wada-e-farda rahe hain hum
ai ahd-e-nau ye silsila-e-jaur ta-kuja
kab se hayat-e-shauq ko bahla rahe hain hum
hum se na wo mile kabhi un se na hum mile
yun misl-e-rang-o-bu sada yakja rahe hain hum
zinat lughat ki harf-e-haqiqat hai ai 'zamir'
baatil ka har fareb-e-hasin kha rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.