taron ki jhamakti baadh tale aankhon mein raat guzari hai
tāroñ kī jhamaktī baaḌh tale āñkhoñ meñ raat guzārī hai
aur aaTh minute kī duurī par sūraj kī zard amārī hai
gardūñ pe kamandeñ Daal chuke ḳhurshīd uchhālā neze par
imkān kī sarhad paar huī ab aage kī tayyārī hai
table kī gat lahrātī hai kāfūrī sham'oñ kī lau par
aur nīma-e-shab ke mahzar meñ sangat ko ik darbārī hai
mustaqbil ke sayyāre par kuchh sāhib-e-amr mashīñ-zāde
masrūf haiñ kār-e-duniyā meñ aur apne liye bekārī hai
bāzār chaḌhā to saudāgar ḳhvāboñ ke buġhche bāñdh chale
raste meñ magar shab-ḳhūn paḌā shamshīr ajal ne maarī hai
jis kāran des bides laḌe lashkar payāde sālār javāñ
qasbātī qahba-ḳhāne kī lachkīlī sī bhatiyārī hai
īmān aur sabr kī vaadī se jannat kī taraf jaanā thā magar
kuchh īmāñ kī kamzorī hai kuchh sabr kā patthar bhārī hai
gar vaqt kā dhārā TuuT gayā phir mahfil-e-hast-o-būd kahāñ
bahte hue dariyā par tū ne kyā soch ke lāThī maarī hai
taron ki jhamakti baDh tale aankhon mein raat guzari hai
aur aaTh minute ki duri par suraj ki zard amari hai
gardun pe kamanden Dal chuke KHurshid uchhaala neze par
imkan ki sarhad par hui ab aage ki tayyari hai
table ki gat lahraati hai kafuri sham'on ki lau par
aur nima-e-shab ke mahzar mein sangat ko ek darbari hai
mustaqbil ke sayyare par kuchh sahib-e-amr mashin-zade
masruf hain kar-e-duniya mein aur apne liye bekari hai
bazar chaDha to saudagar KHwabon ke bughche bandh chale
raste mein magar shab-KHun paDa shamshir ajal ne mari hai
jis karan des bides laDe lashkar payaade salar jawan
qasbaati qahba-KHane ki lachkili si bhatiyari hai
iman aur sabr ki wadi se jannat ki taraf jaana tha magar
kuchh iman ki kamzori hai kuchh sabr ka patthar bhaari hai
gar waqt ka dhaara TuT gaya phir mahfil-e-hast-o-bud kahan
bahte hue dariya par tu ne kya soch ke laThi mari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.