taron se meri mang saja jao kisi roz
tāroñ se merī maañg sajā jaao kisī roz
aao to na jaane ke liye aao kisī roz
iz.hār ko alfāz meñ Dhālo to kisī din
āñkhoñ meñ jo hai hoñToñ se kah jaao kisī roz
mahkeñ to kabhī adh-khile jazbāt kī kaliyāñ
āġhosh-e-mohabbat meñ samā jaao kisī roz
uḌte hue lamhoñ se pakaḌ kar koī jugnū
tārīki-e-shab nuur se bhar jaao kisī roz
phir saath guzāre hue lamhāt palaT aa.eñ
phir jannat-e-gum-gashta dikhā laao kisī roz
taron se meri mang saja jao kisi roz
aao to na jaane ke liye aao kisi roz
izhaar ko alfaz mein Dhaalo to kisi din
aankhon mein jo hai honTon se kah jao kisi roz
mahken to kabhi adh-khile jazbaat ki kaliyan
aaghosh-e-mohabbat mein sama jao kisi roz
uDte hue lamhon se pakaD kar koi jugnu
tariki-e-shab nur se bhar jao kisi roz
phir sath guzare hue lamhat palaT aaen
phir jannat-e-gum-gashta dikha lao kisi roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.