taron wali raat ka aalam pine aur pilane se
tāroñ vaalī raat kā aalam piine aur pilāne se
saaqī ne mai khīñch ke rakh dī goyā daane daane se
tār-e-garebāñ siine vaale chāk-ba-dāman aa.e haiñ
ya.anī kuchh taqdīr na suljhī uljhī thī dīvāne se
raat nahīñ ye ziist kā din hai hosh meñ aa barbād na kar
sham.a faqat mehmān-e-sahar hai kaun kahe parvāne se
dair-o-haram se uThne vaale aa.e haiñ maiḳhāne meñ
is pe agar taqdīr uThā de jaa.eñ kahāñ maiḳhāne se
josh-e-junūñ sā rahbar ho to hosh kī manzil duur nahīñ
dīvāne ne raah banā dī bastī tak vīrāne se
saaqī ke andāz ko dekho be-ḳhud piine vāloñ meñ
miltī hai mai qismat se go baTtī hai paimāne se
zarf mirī qismat kā bharā hai aap nigāh-e-sāqī ne
paimāne ko ḳhum se milī aur ḳhum ko milī paimāne se
umr-e-do-roza 'kaifī' kī yuuñ kaT hī ga.ī yuuñ kaTnī thī
kaam rahā paimāne se aur saaqī ke maiḳhāne se
taron wali raat ka aalam pine aur pilane se
saqi ne mai khinch ke rakh di goya dane dane se
tar-e-gareban sine wale chaak-ba-daman aae hain
yani kuchh taqdir na suljhi uljhi thi diwane se
raat nahin ye zist ka din hai hosh mein aa barbaad na kar
shama faqat mehman-e-sahar hai kaun kahe parwane se
dair-o-haram se uThne wale aae hain maiKHane mein
is pe agar taqdir uTha de jaen kahan maiKHane se
josh-e-junun sa rahbar ho to hosh ki manzil dur nahin
diwane ne rah bana di basti tak virane se
saqi ke andaz ko dekho be-KHud pine walon mein
milti hai mai qismat se go baTti hai paimane se
zarf meri qismat ka bhara hai aap nigah-e-saqi ne
paimane ko KHum se mili aur KHum ko mili paimane se
umr-e-do-roza 'kaifi' ki yun kaT hi gai yun kaTni thi
kaam raha paimane se aur saqi ke maiKHane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.