tasir ke pardon ko chhu aai fughan meri
tāsīr ke pardoñ ko chhū aa.ī fuġhāñ merī
ab arsa-e-ālam meñ gūñjegī azaañ merī
ai rahmat-e-be-parvā kuchh pās-e-vafā rakhnā
aisā na ho mahshar meñ khul jaa.e zabāñ merī
har gaam par ik fitna uThtā hai qadam lene
ye kaun sī manzil meñ hai umr-e-ravāñ merī
āñkheñ hoñ to dekh uTh kar kaunain kī har shai ko
maiñ tujh ko batā.ūñ kyā manzil hai kahāñ merī
vo daur-e-mohabbat bhī thā kitnā bahār-āgīñ
phūloñ meñ rahī chashm-e-ḳhūnāba fashāñ merī
is gardish-e-paiham kā niklegā na kuchh hāsil
ai charḳh-e-subuk-māya miTTī hai girāñ merī
har-gām par ik 'turfa' unvān-e-mohabbat hai
ruktī hai kahāñ dekhūñ ab tab-e-ravāñ merī
tasir ke pardon ko chhu aai fughan meri
ab arsa-e-alam mein gunjegi azan meri
ai rahmat-e-be-parwa kuchh pas-e-wafa rakhna
aisa na ho mahshar mein khul jae zaban meri
har gam par ek fitna uThta hai qadam lene
ye kaun si manzil mein hai umr-e-rawan meri
aankhen hon to dekh uTh kar kaunain ki har shai ko
main tujh ko bataun kya manzil hai kahan meri
wo daur-e-mohabbat bhi tha kitna bahaar-agin
phulon mein rahi chashm-e-KHunaba fashan meri
is gardish-e-paiham ka niklega na kuchh hasil
ai charKH-e-subuk-maya miTTi hai giran meri
har-gam par ek 'turfa' unwan-e-mohabbat hai
rukti hai kahan dekhun ab tab-e-rawan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.