tayyun ki hadon mein jalwa-saman ho nahin sakta
ta.ayyun kī hadoñ meñ jalva-sāmāñ ho nahīñ saktā
vo husn-e-kul muhīt-e-kufr-o-īmāñ ho nahīñ saktā
jo pāmāl-e-ḳhirām-e-nāz-e-jānāñ ho nahīñ saktā
vo madfan hāsil-e-gor-e-ġharībāñ ho nahīñ saktā
ise rahne de yūñhī baḳhiya-gar tū is kī hālat par
rafū jis kā ho vo merā girebāñ ho nahīñ saktā
milegī daad mahshar meñ vo zālim mil nahīñ saktā
kahīñ bhī mere dard-e-dil kā darmāñ ho nahīñ saktā
ye qaid-e-lā-makāñ kaisī ye taḳhsīs-e-makāñ kyā hai
tirā jalva muhīt-e-hadd-e-imkāñ ho nahīñ saktā
nahīñ jab aarzū koī to ḳhūn-e-ārzū kaisā
dil-e-be-mudda.ā nākām-e-armāñ ho nahīñ saktā
bhañvar meñ jitnā Dūbegā ye utnā aur ubhregā
mohabbat kā safīna ġharq-e-tūfāñ ho nahīñ saktā
use kyā āzmā.egī tajallī barq-e-aiman kī
jo un kā dekhne vaalā hai hairāñ ho nahīñ saktā
vo ashk-e-ġham na surḳhī jis meñ ḳhūn-e-dil kī shāmil ho
mire afsāna-e-ulfat kā unvāñ ho nahīñ saktā
tabī.at hī badal dī lazzat-e-āzār-e-paiham ne
vo chāheñ bhī to mere ġham kā darmāñ ho nahīñ saktā
mirī hastī hijāb-e-rū-e-jānāñ kyoñ ho ai 'afqar'
mirī hastī kā parda rū-e-jānāñ ho nahīñ saktā
tayyun ki hadon mein jalwa-saman ho nahin sakta
wo husn-e-kul muhit-e-kufr-o-iman ho nahin sakta
jo pamal-e-KHiram-e-naz-e-jaanan ho nahin sakta
wo madfan hasil-e-gor-e-ghariban ho nahin sakta
ise rahne de yunhi baKHiya-gar tu is ki haalat par
rafu jis ka ho wo mera gireban ho nahin sakta
milegi dad mahshar mein wo zalim mil nahin sakta
kahin bhi mere dard-e-dil ka darman ho nahin sakta
ye qaid-e-la-makan kaisi ye taKHsis-e-makan kya hai
tera jalwa muhit-e-hadd-e-imkan ho nahin sakta
nahin jab aarzu koi to KHun-e-arzu kaisa
dil-e-be-muddaa nakaam-e-arman ho nahin sakta
bhanwar mein jitna Dubega ye utna aur ubhrega
mohabbat ka safina gharq-e-tufan ho nahin sakta
use kya aazmaegi tajalli barq-e-aiman ki
jo un ka dekhne wala hai hairan ho nahin sakta
wo ashk-e-gham na surKHi jis mein KHun-e-dil ki shamil ho
mere afsana-e-ulfat ka unwan ho nahin sakta
tabiat hi badal di lazzat-e-azar-e-paiham ne
wo chahen bhi to mere gham ka darman ho nahin sakta
meri hasti hijab-e-ru-e-jaanan kyon ho ai 'afqar'
meri hasti ka parda ru-e-jaanan ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.