taza afsana koi taza kahani hogi
taaza afsāna koī taaza kahānī hogī
sub.h ke ruḳh pe ga.ī shab kī nishānī hogī
lams kī aañch se kuchh aise haiñ lab-basta ki ab
guftugū hogī to āñkhoñ kī zabānī hogī
is meñ ham donoñ kī āñkhoñ meñ hai qurbat kī chamak
ye jo tasvīr hai kuchh saal purānī hogī
jab mileñge to vo phir pūchhegī tum kaise ho
phir mujhe jhūTī hañsī lab pe sajānī hogī
yaad aatī hai har ik baat mujhe rah rah kar
ranj ye hai mujhe har baat bhulānī hogī
taza afsana koi taza kahani hogi
subh ke ruKH pe gai shab ki nishani hogi
lams ki aanch se kuchh aise hain lab-basta ki ab
guftugu hogi to aankhon ki zabani hogi
is mein hum donon ki aankhon mein hai qurbat ki chamak
ye jo taswir hai kuchh sal purani hogi
jab milenge to wo phir puchhegi tum kaise ho
phir mujhe jhuTi hansi lab pe sajaani hogi
yaad aati hai har ek baat mujhe rah rah kar
ranj ye hai mujhe har baat bhulani hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.