tab bhi jazbon mein ye hi shiddat thi
tab bhī jazboñ meñ ye hī shiddat thī
jab yahāñ raat aur vahshat thī
haa.e jo luT ga.ī hai ḳhvāhish meñ
yaar vo ruuh nek-sīrat thī
zindagī se gila nahīñ koī
zindagī vāris-e-aziyyat thī
aur bātoñ kā ham ko kyā mā'lūm
haañ magar aap se mohabbat thī
aur koī nahīñ thā merā vahāñ
bas tirī yaad hī se nisbat thī
aa.ine meñ bhī ek aa.ina thā
yā'nī sūrat meñ ek sūrat thī
is liye bhī uḌaan bhar na sakī
ḳhaak se is badan ko dahshat thī
aur kuchh kab thā in ḳhayāloñ meñ
ik jahannum thā ek jannat thī
tab bhi jazbon mein ye hi shiddat thi
jab yahan raat aur wahshat thi
hae jo luT gai hai KHwahish mein
yar wo ruh nek-sirat thi
zindagi se gila nahin koi
zindagi waris-e-aziyyat thi
aur baaton ka hum ko kya ma'lum
han magar aap se mohabbat thi
aur koi nahin tha mera wahan
bas teri yaad hi se nisbat thi
aaine mein bhi ek aaina tha
ya'ni surat mein ek surat thi
is liye bhi uDan bhar na saki
KHak se is badan ko dahshat thi
aur kuchh kab tha in KHayalon mein
ek jahannum tha ek jannat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.