tab safha-safha kaisa khula ja raha tha main
tab saf.ha-saf.ha kaisā khulā jā rahā thā maiñ
tum chhū rahī thī aur jalā jā rahā thā maiñ
phir vāpsī pe duur se dekhā tirī taraf
dekhā tirī taraf ko chalā jā rahā thā maiñ
maiñ ro rahā thā aur dhulī jā rahī thiiñ tum
tum ro rahī thiiñ aur dhulā jā rahā thā maiñ
itnī sakat kahāñ thī ki ḳhud ko rafū karūñ
kuchh dostoñ ke hāthoñ silā jā rahā thā maiñ
lahreñ to māntī thiiñ kināra mujhe magar
kaT-kaT ke ḳhud nadī meñ milā jā rahā thā maiñ
chhū chhū ke hāthoñ-hāth guzārā gayā mujhe
Thahre hue the log Talā jā rahā thā maiñ
maiñ qatra-e-sukūñ kī tarāvaT se Dar gayā
kaisī namī huī thī galā jā rahā thā maiñ
shatranj-e-zindagī meñ ajab uljhaneñ rahīñ
merī muḳhālifat meñ chalā jā rahā thā maiñ
vo to bhalā ho mujh ko ḳhizāñ ne jagā diyā
varna kisī gumāñ meñ khulā jā rahā thā maiñ
sab chāhte the mere vasīle se ho sahar
ḳhvāhish mirī bhī thī pa Dhalā jā rahā thā maiñ
tab safha-safha kaisa khula ja raha tha main
tum chhu rahi thi aur jala ja raha tha main
phir wapsi pe dur se dekha teri taraf
dekha teri taraf ko chala ja raha tha main
main ro raha tha aur dhuli ja rahi thin tum
tum ro rahi thin aur dhula ja raha tha main
itni sakat kahan thi ki KHud ko rafu karun
kuchh doston ke hathon sila ja raha tha main
lahren to manti thin kinara mujhe magar
kaT-kaT ke KHud nadi mein mila ja raha tha main
chhu chhu ke hathon-hath guzara gaya mujhe
Thahre hue the log Tala ja raha tha main
main qatra-e-sukun ki tarawaT se Dar gaya
kaisi nami hui thi gala ja raha tha main
shatranj-e-zindagi mein ajab uljhanen rahin
meri muKHalifat mein chala ja raha tha main
wo to bhala ho mujh ko KHizan ne jaga diya
warna kisi guman mein khula ja raha tha main
sab chahte the mere wasile se ho sahar
KHwahish meri bhi thi pa Dhala ja raha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.