tab se wafa ka tazkira gunge ka KHwab ho gaya
tab se vafā kā tazkira gūñge kā ḳhvāb ho gayā
jab se maiñ dil-ba-dar huā ḳhāna-ḳharāb ho gayā
paa.e nigāh aa lage jab lab-e-manzil-e-talab
āñkheñ pur-āb ho ga.iiñ dariyā sarāb ho gayā
apne jahāz le ke tab aa.e jahāz-rān kab
merā jazīra-e-vajūd jab tah-e-āb ho gayā
chashm-e-vazīr-e-mumlikat us pe huī jo mehrbāñ
tab se vo nañg-e-shahr bhī ālī-janāb ho gayā
haa.e mirī jabīn se sajde ke daaġh dhul ga.e
sar pe paḌā huā thā jo saaya sahāb ho gayā
jab se hamāre haath se chhīnā butoñ ne iḳhtiyār
apnā sanam-kadoñ meñ rahnā azaab ho gayā
tab se wafa ka tazkira gunge ka KHwab ho gaya
jab se main dil-ba-dar hua KHana-KHarab ho gaya
pae nigah aa lage jab lab-e-manzil-e-talab
aankhen pur-ab ho gain dariya sarab ho gaya
apne jahaz le ke tab aae jahaz-ran kab
mera jazira-e-wajud jab tah-e-ab ho gaya
chashm-e-wazir-e-mumlikat us pe hui jo mehrban
tab se wo nang-e-shahr bhi aali-janab ho gaya
hae meri jabin se sajde ke dagh dhul gae
sar pe paDa hua tha jo saya sahab ho gaya
jab se hamare hath se chhina buton ne iKHtiyar
apna sanam-kadon mein rahna azab ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.