tab talak kuchh bhi nahin tir ya talwar gire
tab talak kuchh bhī nahīñ tiir yā talvār gire
farq paḌtā hai agar jang meñ sālār gire
ham ne milne pe jo har baar bachā rakkhī thī
ab ke milnā hai to phir biich kī dīvār gire
ḳhud ko thāme hue le aa.e haiñ manzil ke qarīb
ye alag baat ki raste meñ ka.ī baar gire
yuuñ to girte hue dekhe haiñ saroñ ko maqtal
terī ḳhvāhish bhī rahī hogī ki dastār gire
bech dete haiñ yahāñ jhuuT ko ham sach kah kar
ik zarā jumbish-e-lab ho to ye bāzār gire
tab talak kuchh bhi nahin tir ya talwar gire
farq paDta hai agar jang mein salar gire
hum ne milne pe jo har bar bacha rakkhi thi
ab ke milna hai to phir bich ki diwar gire
KHud ko thame hue le aae hain manzil ke qarib
ye alag baat ki raste mein kai bar gire
yun to girte hue dekhe hain saron ko maqtal
teri KHwahish bhi rahi hogi ki dastar gire
bech dete hain yahan jhuT ko hum sach kah kar
ek zara jumbish-e-lab ho to ye bazar gire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.